Khule aasman may najre firane se,
Milti nai aajadi.
Khag ke chahakte udaan ko dekne se,
Milti nai aajadi,
Mithe vishse bhare paison ko jeb may rakhne se,
Milti nai aajadi,
Har waqt ki manmaani karne se,
Bhi milti nai aajadi !!!!
Fir kyun najaane hum,
Dhundte hai aajadi bahri vastaviktaon may?
Jab kahi is maasum dil ko ye khabar hai ki,
Ye hamara sharir maut se hi aajad nai hai….
Bereham duniya ke kaid may aane se pehle,
The hum kaid may, apne he maa ki kok may….!
Hua samna jab suni aankhon ka sabse,
Dilse laga ki mili aajadi,
Parantu pare the iss bhayanak sach se,
Ki ek din yahi aajadi ,
Jakkadkar kaid karegi hamare astitva ko…
Fir hum bhatkenge aajad panchi bhati,
Apni hi iss mann ki kaid may.
Hum kahan jeete hai apne liye, dusron ke ichhaon ke tale..
Kaun sune hamare gile-shikve…
Waqt avam hamari ichhaen, dono hi gujarte hai,
Aur fir se ye dil ho jata hai paraye ichhaon ke kaid mai…..
Koi na aajad yahan,
Fir kyun sab kahe bar bar,
‘waah! Dil aajad hai hamara’
Are bandhu, ye kaise sambhav ke tera dil ho aajad,
Jab uska dhadakna he kaid ho iss nashwar sharir may…!!
Tatpar hun mai aajadi ki paribhasha janane ,
Achambit hun ki kya mehtva hai uska jindagi mai,
JAB YAHI JINDAGI LAKHADAYE JANM-MRUTYU KI KAID MAI…..
- Aniruddh
Too good man
ReplyDelete